Raftagan Ki Sada Nahin Main Hun
raftagan ki sada nahin main hun
ye tera wahima nahin main hun
tere mazi ke sath dafn kahin
mera ek waqia nahin main hun
kya mila intiha-pasandi se
kya main tere siwa nahin main hun
ek muddat mein ja ke mujh pe khula
chand hasrat-zada nahin main hun
us ne mujh ko muhaal jaan liya
main ye kahta raha nahin main hun
main hi ujlat mein aa gaya tha idhar
ye zamana naya nahin main hun
meri wahshat se Dar gae shayad
yar baad-e-fana nahin main hun
main tere sath rah gaya hun kahin
waqt Thahra hua nahin main hun
gahe gahe suKHan zaruri hai
samne aaina nahin main hun
sarsari kyun guzarta hai mujhe
ye mera majra nahin main hun
us ne puchha kahan gaya wo shaKHs
kya batata ki tha nahin main hun
ye kise dekhta hai mujh se udhar
tere aage KHala nahin main hun
(763) Peoples Rate This