Nazar Ko Phir Koi Chehra Dikhaya Ja Raha Hai
nazar ko phir koi chehra dikhaya ja raha hai
ye tum KHud ho ki mujh ko aazmaya ja raha hai
bahut aasudgi se roz-o-shab kaTne lage hain
mujhe malum hai mujh ko ganwaya ja raha hai
sar-e-mizhgan bagule aa ke wapas ja rahe hain
ajab tufan sine se uThaya ja raha hai
mera gham hai agar kuchh muKHtalif to is bina par
mere gham ko hansi mein kyun uDaya ja raha hai
badan kis taur shamil tha mere kar-e-junun mein
mere dhoke mein us ko kyun miTaya ja raha hai
wo diwar-e-ana jis ne mujhe tanha kiya tha
usi diwar ko mujh mein giraya ja raha hai
meri KHushiyon mein teri is KHushi ko kya kahun main
charagh-e-arzu tujh ko bujhaya ja raha hai
KHirad ki sadgi dekho ki zahir halaton se
meri wahshat ka andaza lagaya ja raha hai
abhi ai baad-e-wahshat is taraf ka ruKH na karna
yahan mujh ko bikharne se bachaya ja raha hai
(862) Peoples Rate This