Mere KHwabon Se Ojhal Us Ka Chehra Ho Gaya Hai
mere KHwabon se ojhal us ka chehra ho gaya hai
main aisa chahta kab tha par aisa ho gaya hai
talluq ab yahan kam hai mulaqaten ziyaada
hujum-e-shahr mein har shaKHs tanha ho gaya hai
teri takmil ki KHwahish to puri ho na pai
magar ek shaKHs mujh mein bhi adhura ho gaya hai
jo bagh-e-arzu tha ab wahi hai dasht-e-wahshat
ye dil kya hone wala tha magar kya ho gaya hai
main samjha tha siyegi aagahi chaak-e-junun ko
magar ye zaKHm to pahle se gahra ho gaya hai
main tujh se sath bhi to umr-bhar ka chahta tha
so ab tujh se gila bhi umr-bhar ka ho gaya hai
tere aane se aaya kaun sa aisa taghayyur
faqat tark-e-marasim ka mudawa ho gaya hai
mera aalam agar puchhen to un se arz karna
ki jaisa aap farmate the waisa ho gaya hai
main kya tha aur kya hun aur kya hona hai mujh ko
mera hona to jaise ek tamasha ho gaya hai
yaqinan hum ne aapas mein koi wada kiya tha
magar us guftugu ko ek arsa ho gaya hai
agarche dastaras mein aagahi hai sari duniya
magar dil ki taraf bhi ek dar wa ho gaya hai
ye bechaini hamesha se meri fitrat hai lekin
ba-qadr-e-umr is mein kuchh izafa ho gaya hai
mujhe har subh yaad aati hai bachpan ki wo aawaz
chalo 'irfan' uTh jao sawera ho gaya hai
(1075) Peoples Rate This