Majlis-e-gham, Na Koi Bazm-e-tarab, Kya Karte
majlis-e-gham, na koi bazm-e-tarab, kya karte
ghar hi ja sakte the aawara-e-shab, kya karte
ye to achchha kiya tanhai ki aadat rakkhi
tab use chhoD diya hota to ab kya karte
raushni, rang, mahak, tair-e-KHush-lahn, saba
tu na aata jo chaman mein to ye sab kya karte
dil ka gham dil mein liye lauT gae hum chup-chap
koi sunta hi na tha shor-o-shaghab kya karte
baat karne mein hamein kaun si dushwari thi
us ki aankhon se taKHatub tha so lab kya karte
kuchh kiya hota to phir zoam bhi achchha lagta
hum ziyan-kar the, elan-e-nasab kya karte
dekh kar tujh ko sirhane tere bimar-e-junun
jaan-ba-lab the, so hue aah-ba-lab, kya karte
tu ne diwanon se munh moD liya, Thik kiya
in ka kuchh Thik nahin tha ki ye kab kya karte
jo suKHan-saz churaate hain mera tarz-e-suKHan
un ka apna na koi taur, na Dhab, kya karte
yahi hona tha jo 'irfan' tere sath hua
munkir-e-'mir' bhala tera adab kiya karte
(1155) Peoples Rate This