Lafzon Ke Baratne Mein Bahut Sirf Hua Main
lafzon ke baratne mein bahut sirf hua main
ek misr taza bhi magar kah na saka main
ek dast-e-rifaqat ki talab le ke baDha mein
amboh trahdar mein ek shor uTha main
aa tujh ko taqabul mein ulajhne se bacha lun
sab kuchh hai teri zat mein baqi jo bacha main
main aur kahan KHud-nagri yaad hai tujh ko
jab tu ne mera nam liya main ne kaha mein
main ek bagula sa uTha dasht-e-junun se
roka mujhe duniya ne bahut par na ruka main
ya mujh se guzari na gai umr-e-gurezan
ya umr-e-gurezan se guzara na gaya mein
malum hua mujh mein koi ramz nahin hai
ek umr-e-riyazat se guzarne pe khula main
jo raat basar ki thi mere hijr mein tu ne
us raat bahut der tere sath raha main
(795) Peoples Rate This