Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_26dfc6e1050ed2e08a30347a27e89997, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Koi Mila To Kisi Aur Ki Kami Hui Hai - Irfan Sattar Poetry In English - Darsaal

Koi Mila To Kisi Aur Ki Kami Hui Hai

koi mila to kisi aur ki kami hui hai

so dil ne be-talabi iKHtiyar ki hui hai

jahan se dil ki taraf zindagi utarti thi

nigah ab bhi usi baam par jami hui hai

hai intizar use bhi tumhaari KHush-bu ka

hawa gali mein bahut der se ruki hui hai

tum aa gae ho to ab aaina bhi dekhenge

abhi abhi to nigahon mein raushni hui hai

hamara ilm to marhun-e-lauh-e-dil hai miyan

kitab-e-aql to bas taq par dhari hui hai

banao sae hararat badan mein jazb karo

ki dhup sehan mein kab se yunhi paDi hui hai

nahin nahin main bahut KHush raha hun tere baghair

yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai

wo guftugu jo meri sirf apne-ap se thi

teri nigah ko pahunchi to shairi hui hai

(836) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Mila To Kisi Aur Ki Kami Hui Hai In English By Famous Poet Irfan Sattar. Koi Mila To Kisi Aur Ki Kami Hui Hai is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Koi Mila To Kisi Aur Ki Kami Hui Hai for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Koi Mila To Kisi Aur Ki Kami Hui Hai in PDF.