Kis Ajab Saat-e-nayab Mein Aaya Hua Hun
kis ajab saat-e-nayab mein aaya hua hun
tujh se milne main tere KHwab mein aaya hua hun
phir wahi main hun, wahi hijr ka dariya-e-amiq
koi dam aks-e-sar-e-ab mein aaya hua hun
kaise aaine ke manind chamakta hua main
ishq ke shahr-e-abad-tab mein aaya hua hun
meri har tan hai az-roz-e-azal ta-ba-abad
ek sur ke liye mizrab mein aaya hua hun
koi parchhain kabhi jism se karti hai kalam?
be-sabab saya-e-mahtab mein aaya hua hun
har guzarte hue lamhe mein Tapakta hua mein
dard hun, waqt ke aasab mein aaya hua hun
kaisi gahrai se nikla hun adam ki 'irfan'
kaise payab se talab mein aaya hua hun
(889) Peoples Rate This