KHwab Mein Koi Mujhko Aas Dilane BaiTha Tha
KHwab mein koi mujh ko aas dilane baiTha tha
jaga to main KHud apne hi sirhane baiTha tha
yunhi ruka tha dam lene ko, tum ne kya samjha?
haar nahin mani thi bas sustane baiTha tha
KHud bhi lahuluhan hua dil, mujhe bhi zaKHm diye
main bhi kaise wahshi ko samjhane baiTha tha
lakh jatan karne par bhi kam hua na dil ka bojh
kaisa bhaari patthar main sarkane baiTha tha
tare kirnon ki rath par lae the us ki yaad
chand bhi KHwabon ka chandan mahkane baiTha tha
nae baras ki KHushiyon mein mashghul the sab, aur main
gae baras ki choTon ko sahlane baiTha tha
wo to kal jhankar se parakh liya us gyani ne
main to pital ke sikke chamkane baiTha tha
dushman jitne aae un ke KHata hue sab tir
lekin apnon ka har tir nishane baiTha tha
qisson ko sach manne wale, dekh liya anjam?
pagal jhuT ki taqat se Takrane baiTha tha
mat puchho kitni shiddat se yaad aai thi man
aaj main jab chaTni se roTi khane baiTha tha
apna qusur samajh nahin aaya jitna ghaur kiya
main to sachche dil se hi pachhtane baiTha tha
ain usi dam KHatm hui thi mohlat jab 'irfan'
KHud ko toD chuka tha aur banane baiTha tha
(805) Peoples Rate This