Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_53f06e684139545ac4b5b76645043960, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kabhi Kisi Se Na Humne Koi Gila Rakkha - Irfan Sattar Poetry In English - Darsaal

Kabhi Kisi Se Na Humne Koi Gila Rakkha

kabhi kisi se na hum ne koi gila rakkha

hazar zaKHm sahe aur dil baDa rakkha

charagh yun to sar-e-taq-e-dil kai the magar

tumhaari lau ko hamesha zara juda rakkha

KHirad se puchha junun ka moamla kya hai

junun ke aage KHirad ka moamla rakkha

KHayal ruh ke aaram se haTaya nahin

jo KHak tha so use KHak mein mila rakkha

hazar shukr tera ai mere KHuda-e-junun

ki mujh ko rah-e-KHirad se gurez-pa rakkha

chhapa hua nahin tujh se dil-e-tabah ka haal

ye kam nahin ki tere ranj ko bacha rakkha

wo ek zulf ki lipTi rahi rag-e-jaan se

wo ek nazar ki hamein jis ne mubtala rakkha

bas ek aan mein guzra main kis taghayyur se

kisi ne sar pe tawajjoh se hath kya rakkha

sunai apni kahani baDe saliqe se

kahin kahin pe fasane mein waqia rakkha

suna jo shor ki wo shisha-gar kamal ka hai

to hum lapak ke gae aur qalb ja rakkha

main jaanta tha ki duniya jo hai wo hai hi nahin

so KHud ko KHwahish-e-duniya se mawara rakkha

mere junun ne kiye radd wajud aur adam

alag hi tarah se hone ka silsila rakkha

KHushi si kis ne hamesha malal mein rakkhi

KHushi mein kis ne hamesha malal sa rakkha

kabhi na hone diya taq-e-dil ko be-raunaq

charagh ek bujha aur dusra rakkha

nigah-dar mera tha mere siwa na koi

so apni zat pe pahra bahut kaDa rakkha

tu pas tha to rahe mahw dekhne mein tujhe

visal ko bhi tere hijr par uTha rakkha

tera jamal to tujh par kabhi khulega nahin

hamare baad bata aaine mein kya rakkha

har ek shab tha yahi tere KHush-guman ka haal

diya bujhaya nahin aur dar khula rakkha

hamin pe fash kiye raaz-ha-e-harf-o-suKHan

to phir hamein hi tamasha sa kyun bana rakkha

mila tha ek yahi dil hamein bhi aap ko bhi

so hum ne ishq rakha aap ne KHuda rakkha

KHizan thi aur KHizan si KHizan KHuda ki panah

tera KHayal tha jis ne hara-bhara rakkha

jo na-gahan kabhi izn-e-safar hua 'irfan'

to fikr kaisi ki saman hai bandha rakkha

(1603) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Kisi Se Na Humne Koi Gila Rakkha In English By Famous Poet Irfan Sattar. Kabhi Kisi Se Na Humne Koi Gila Rakkha is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Kabhi Kisi Se Na Humne Koi Gila Rakkha for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Kabhi Kisi Se Na Humne Koi Gila Rakkha in PDF.