Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b56788a333c1fcac7d43d6a12605b365, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jo Be-ruKHi Ka Rang Bahut Tez Mujh Mein Hai - Irfan Sattar Poetry In English - Darsaal

Jo Be-ruKHi Ka Rang Bahut Tez Mujh Mein Hai

jo be-ruKHi ka rang bahut tez mujh mein hai

ye yaadgar-e-yar-e-kam-amez mujh mein hai

sairab kunj-e-zat ko rakhti hai mustaqil

bahti hui jo ranj ki karez mujh mein hai

kasa hai ek fikr se mujh mein bhara hua

aur ek piyala dard se lab-rez mujh mein hai

ye karb-e-raegani-e-imkan bhi hai magar

tera bhi ek KHayal-e-dil-awez mujh mein hai

taza khile hue hain ye gulha-e-zaKHm-e-rang

har aan ek mausam-e-KHun-rez mujh mein hai

rakhti hai meri tab-e-rawan bab-e-harf mein

ye mustaqil jo dard ki mahmez mujh mein hai

ab tak hara-bhara hai kisi yaad ka shajar

'irfan'! ek KHitta-e-zarKHez mujh mein hai

(1100) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Be-ruKHi Ka Rang Bahut Tez Mujh Mein Hai In English By Famous Poet Irfan Sattar. Jo Be-ruKHi Ka Rang Bahut Tez Mujh Mein Hai is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Jo Be-ruKHi Ka Rang Bahut Tez Mujh Mein Hai for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Jo Be-ruKHi Ka Rang Bahut Tez Mujh Mein Hai in PDF.