Har Ek Shakl Mein Surat Nai Malal Ki Hai
har ek shakl mein surat nai malal ki hai
hamare chaaron taraf raushni malal ki hai
hum apne hijr mein tera visal dekhte hain
yahi KHushi ki hai saat, yahi malal ki hai
hamare KHana-e-dil mein nahin hai kya kya kuchh
ye aur baat ki har shai isi malal ki hai
abhi se shauq ki aazurdagi ka ranj na kar
ki dil ko tab KHushi ki na thi malal ki hai
kisi ka ranj ho, apna samajhne lagte hain
wabaal-e-jaan ye kushada-dili malal ki hai
nahin hai KHwahish-e-asudgi-e-wasl hamein
jawaz-e-ishq to bas tishnagi malal ki hai
guzishta raat kai bar dil ne hum se kaha
ki ho na ho ye ghuTan aaKHiri malal ki hai
ragon mein chiKHta phirta hai ek sail-e-junun
agarche lahje mein shaistagi malal ki hai
ajib hota hai ehsas ka talawwun bhi
abhi KHushi ki KHushi thi, abhi malal ki hai
ye kis umid pe chalne lagi hai baad-e-murad?
KHabar nahin hai use, ye ghaDi malal ki hai
dua karo ki rahe darmiyan ye be-suKHani
ki guftugu mein to be-pardagi malal ki hai
teri ghazal mein ajab kaif hai magar 'irfan'
darun-e-ramz-o-kinaya kami malal ki hai
(1206) Peoples Rate This