Hamein Nahin Aate Ye Kartab Nae Zamane Wale

hamein nahin aate ye kartab nae zamane wale

hum to sidhe log hain yaro wahi purane wale

un ke hote koi kami hai raaton ki raunaq mein

yaaden KHwab dikhane wali KHwab suhane wale

kahan gain rangin patangen laTTu kanch ke banTe

ab to khel bhi bachchon ke hain dil dahlane wale

wo aanchal se KHushbu ki lapTen bikhraate paikar

wo chilman ki oT se chehre chhab dikhlane wale

baam pe jaane wale jaanen us mahfil ki baaten

hum to Thahre us kuche mein KHak uDane wale

jab guzroge un raston se tapti dhup mein tanha

tumhein bahut yaad aaenge hum sae bichhane wale

tum tak shayad der se pahunche mera mohazzab lahja

pahle zara KHamosh to hon ye shor machane wale

hum jo kahen so kahne dena sanjida mat hona

hum to hain hi shaer baat se baat banane wale

achchha pahli bar kisi ko meri fikr hui hai

main ne bahut dekhe hain tum jaise samjhane wale

aise labaalab kab bharta hai har ummid ka kasa

mujh ko hasrat se takte hain aane jaane wale

saffaki mein ek se hain sab jin ke sath bhi jao

kabe wale is jaanib hain wo but-KHane wale

mere shahar mein mang ab to bas un logon ki hai

kafan banane wale ya murde nahlane wale

git rasile bol sajile kahan sunoge ab tum

ab to kahta hai 'irfan' bhi sher rulane wale

(1033) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamein Nahin Aate Ye Kartab Nae Zamane Wale In English By Famous Poet Irfan Sattar. Hamein Nahin Aate Ye Kartab Nae Zamane Wale is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Hamein Nahin Aate Ye Kartab Nae Zamane Wale for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Hamein Nahin Aate Ye Kartab Nae Zamane Wale in PDF.