Ghamon Mein Kuchh Kami Ya Kuchh Izafa Kar Rahe Hain
ghamon mein kuchh kami ya kuchh izafa kar rahe hain
samajh mein kuchh nahin aata ki hum kya kar rahe hain
jo aata hai nazar mein us ko le aate hain dil mein
nai tarkib se hum KHud ko tanha kar rahe hain
nazar karte hain yun jaise bichhaDne ki ghaDi ho
suKHan karte hain aise jaise girya kar rahe hain
tumhaare hi talluq se to hum hain is badan mein
tumhaare hi liye to ye tamasha kar rahe hain
zawal-e-amadgi ab gunjti hai dhaDkanon mein
so dil se KHwahishon ka bojh halka kar rahe hain
suKHan tum se ho ya ahbab se ya apne dil se
yahi lagta hai hum har baat beja kar rahe hain
tumhaari aarzu hone se pahle bhi to hum the
so jaise ban paDe ab bhi guzara kar rahe hain
zara puchhe koi madum hote in dukhon se
hamein kis ke bharose par akela kar rahe hain
hamein roke hue hai pas-e-namus-e-mohabbat
ye mat samjho ki hum duniya ki parwa kar rahe hain
ba-juz-sina-KHarashi kuchh nahin aata hai lekin
zara dekho to hum ye kaam kaisa kar rahe hain
hamein is kaam ki mushkil ka andaza hai sahab
baDe arse se hum bhi tark-e-duniya kar rahe hain
jo hogi subh to taqsim ho jaenge phir hum
Dhali hai sham to KHud ko ikaTTha kar rahe hain
junun se itna derina talluq toD denge?
are tauba karen 'irfan', ye kya kar rahe hain
(1229) Peoples Rate This