Ek Tarik KHala UsMein Chamakta Hawa Main

ek tarik KHala us mein chamakta hawa main

ye kahan aa gaya hasti se sarakta hua main

shola-e-jaan se fana hota hun qatra qatra

apni aankhon se lahu ban ke Tapakta hua main

aagahi ne mujhe baKHshi hai ye nar-e-KHud-soz

ek jahannam ki tarah KHud mein bhaDakta hua main

muntazir hun ki koi aa ke mukammal kar de

chaak par ghumta bal khata darakta hua main

majma ahl-e-haram naqsh-ba-diwar udhar

aur idhar shor machata hua bakta hua main

mere hi dam se mili saat-e-imkan use

waqt ke jism mein dil ban ke dhaDakta hua main

be-niyazi se meri aate hue tang ye log

aur logon ki tawajjoh se bidakta hua main

raat ki raat nikal jata hun KHud se bahar

apne KHwabon ke taaqub mein humakta hua main

aisi yakjai ki miT jae tamiz-e-man-o-tu

mujh mein khilta hua tu tujh mein mahakta hua main

ek to wo husn-e-junun-KHez hai aalam mein shuhud

aur ek husn-e-junun-KHez ko takta hua main

ek aawaz paDi thi ki koi sail-e-hijr?

aan ki aan mein pahuncha tha lapakta hua main

hai kashid-e-suKHan-e-KHas wadiat mujh ko

ghumta phirta hun ye itr chhiDakta hua main

raaz-e-haq fash hua mujh pe bhi hote hote

KHud tak aa hi gaya 'irfan' bhaTakta hua main

(942) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Tarik KHala UsMein Chamakta Hawa Main In English By Famous Poet Irfan Sattar. Ek Tarik KHala UsMein Chamakta Hawa Main is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Ek Tarik KHala UsMein Chamakta Hawa Main for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Ek Tarik KHala UsMein Chamakta Hawa Main in PDF.