Ek KHwab Nind Ka Tha Sabab, Jo Nahin Raha
ek KHwab nind ka tha sabab, jo nahin raha
us ka qalaq hai aisa ki main so nahin raha
wo ho raha hai jo main nahin chahta ki ho
aur jo main chahta hun wahi ho nahin raha
nam dida hun, ki teri KHushi par hun KHush bahut
chal chhoD, tujh se kah jo diya, ro nahin raha
ye zaKHm jis ko waqt ka marham bhi kuchh nahin
ye dagh, sail-e-girya jise dho nahin raha
ab bhi hai ranj, ranj bhi KHasa shadid hai
wo dil ko chirta hua gham go nahin raha
aabaad mujh mein tere siwa aur kaun hai?
tujh se bichhaD raha hun tujhe kho nahin raha
kya be-hisi ka daur hai logo ki ab KHayal
apne siwa kisi ka kisi ko nahin raha
(1193) Peoples Rate This