Ek Duniya Ki Kashish Hai Jo Idhar Khinchti Hai

ek duniya ki kashish hai jo idhar khinchti hai

ek tabiat hai ki aazar-e-hunar khinchti hai

ek jaanib liye jati hai qanaat mujh ko

ek jaanib hawas-e-luqma-e-tar khinchti hai

hijr ka aish kahan hai meri qismat mein ki ab

zindagi ranj ba-andaz-e-digar khinchti hai

ek manzil hai jo imkan se bahar hai kahin

ek masafat hai ki bas gard-e-safar khinchti hai

ek taraf dil ka ye israr ki KHalwat KHalwat

ek taraf KHwahish-e-taskin-e-nazar khinchti hai

(1144) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Duniya Ki Kashish Hai Jo Idhar Khinchti Hai In English By Famous Poet Irfan Sattar. Ek Duniya Ki Kashish Hai Jo Idhar Khinchti Hai is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Ek Duniya Ki Kashish Hai Jo Idhar Khinchti Hai for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Ek Duniya Ki Kashish Hai Jo Idhar Khinchti Hai in PDF.