Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2d94abeba2b7a4f13ce1fcc8263b456a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Ke Parde Pe Chehre Ubharte Rahe Muskuraate Rahe Aur Hum So Gae - Irfan Sattar Poetry In English - Darsaal

Dil Ke Parde Pe Chehre Ubharte Rahe Muskuraate Rahe Aur Hum So Gae

dil ke parde pe chehre ubharte rahe muskuraate rahe aur hum so gae

teri yaadon ke jhonke guzarte rahe thapthapate rahe aur hum so gae

yaad aata raha kucha-e-raftagan sar pe saya-fagan hijr ka aasman

na-rasai ke sadme utarte rahe dil jalate rahe aur hum so gae

hijr ke rat-jagon ka asar yun hua wasl-e-jaanan ka lamha basar yun hua

dosh par us ke gesu bikharte rahe gudgudate rahe aur hum so gae

kaise tajdid-e-ahd-e-wafa kijiye gham maza de rahe hain so kya kijiye

dar pe aa ke wo akasr Thaharte rahe khaTkate rahe aur hum so gae

awwal awwal to har shab qayamat hui rafta rafta hamein aisi aadat hui

ghar ke aangan mein gham raqs karte rahe ghul machate rahe aur hum so gae

(1081) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ke Parde Pe Chehre Ubharte Rahe Muskuraate Rahe Aur Hum So Gae In English By Famous Poet Irfan Sattar. Dil Ke Parde Pe Chehre Ubharte Rahe Muskuraate Rahe Aur Hum So Gae is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Dil Ke Parde Pe Chehre Ubharte Rahe Muskuraate Rahe Aur Hum So Gae for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Dil Ke Parde Pe Chehre Ubharte Rahe Muskuraate Rahe Aur Hum So Gae in PDF.