Chup Hai Aaghaz Mein, Phir Shor-e-ajal PaDta Hai

chup hai aaghaz mein, phir shor-e-ajal paDta hai

aur kahin bich mein imkan ka pal paDta hai

ek wahshat hai ki hoti hai achanak tari

ek gham hai ki yakayak hi ubal paDta hai

yaad ka phul mahakte hi nawah-e-shab mein

koi KHushbu se mulaqat ko chal paDta hai

hujra-e-zat mein sannaTa hi aisa hai ki dil

dhyan mein gunjti aahaT pe uchhal paDta hai

rok leta hai abad waqt ke us par ki rah

dusri samt se jaun to azal paDta hai

saaton ki yahi takrar hai jari har-dam

meri duniya mein koi aaj, na kal paDta hai

tab-e-yak-lahza kahan husn-e-junun-KHez ke pesh

sans lene se tawajjoh mein KHalal paDta hai

mujh mein phaili hui tariki se ghabra ke koi

raushni dekh ke mujh mein se nikal paDta hai

jab bhi lagta hai suKHan ki na koi lau hai na rau

dafatan harf koi KHun mein machal paDta hai

gham chhupae nahin chhupta hai karun kya 'irfan'

nam lun us ka to aawaz mein bal paDta hai

(1045) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chup Hai Aaghaz Mein, Phir Shor-e-ajal PaDta Hai In English By Famous Poet Irfan Sattar. Chup Hai Aaghaz Mein, Phir Shor-e-ajal PaDta Hai is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Chup Hai Aaghaz Mein, Phir Shor-e-ajal PaDta Hai for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Chup Hai Aaghaz Mein, Phir Shor-e-ajal PaDta Hai in PDF.