Ba-zom-e-aql Ye Kaisa Gunah Maine Kiya
ba-zom-e-aql ye kaisa gunah main ne kiya
ek aaina tha usi ko siyah main ne kiya
ye shahr-e-kam-nazaran ye dayar-e-be-hunaran
kise ye apne hunar ka gawah main ne kiya
harim-e-dil ko jalane laga tha ek KHayal
so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiya
wahi yaqin raha hai jawaz-e-ham-safari
jo gah us ne kiya aur gah main ne kiya
bas ek dil hi to hai waqif-e-rumuz-e-hayat
so shahr-e-jaan ka use sarbarah main ne kiya
har ek ranj usi bab mein kiya hai raqam
zara sa gham tha jise be-panah main ne kiya
ye rah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se
hisar-e-zat ko paiwand-e-rah main ne kiya
ye umr ki hai basar kuchh ajab tawazun se
tera hua na hi KHud se nibah main ne kiya
KHirad ne dil se kaha tu junun-sifat hi sahi
na puchh us ki ki jis ko tabah main ne kiya
(990) Peoples Rate This