Apni KHabar, Na Us Ka Pata Hai, Ye Ishq Hai

apni KHabar, na us ka pata hai, ye ishq hai

jo tha, nahin hai, aur na tha, hai,, ye ishq hai

pahle jo tha, wo sirf tumhaari talash thi

lekin jo tum se mil ke hua hai, ye ishq hai

tashkik hai, na jang hai mabain-e-aql-o-dil

bas ye yaqin hai ki KHuda hai, ye ishq hai

behad KHushi hai, aur hai be-intiha sukun

ab dard hai, na gham, na gila hai, ye ishq hai

kya ramz jaanni hai tujhe asl-e-ishq ki?

jo tujh mein us badan ke siwa hai, ye ishq hai

shohrat se teri KHush jo bahut hai, ye hai KHirad

aur ye jo tujh mein tujh se KHafa hai, ye ishq hai

zer-e-qaba jo husn hai, wo husn hai KHuda

band-e-qaba jo khol raha hai, ye ishq hai

idrak ki kami hai samajhna ise maraz

is ki dua, na is ki dawa hai, ye ishq hai

shaffaf o saf, aur latafat mein be-misal

sara wajud aaina sa hai, ye ishq hai

yani ki kuchh bhi is ke siwa sujhta nahin?

han to janab, masala kya hai? ye ishq hai

jo aql se badan ko mili thi, wo thi hawas

jo ruh ko junun se mila hai, ye ishq hai

is mein nahin hai daKHl koi KHauf o hirs ka

is ki jaza, na is ki saza hai, ye ishq hai

sajde mein hai jo mahw-e-dua wo hai be-dili

ye jo dhamal Dal raha hai, ye ishq hai

hota agar kuchh aur to hota ana-parast

us ki raza shikast-e-ana hai, ye ishq hai

'irfan' manne mein tammul tujhe hi tha

main ne to ye hamesha kaha hai, ye ishq hai

(1959) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni KHabar, Na Us Ka Pata Hai, Ye Ishq Hai In English By Famous Poet Irfan Sattar. Apni KHabar, Na Us Ka Pata Hai, Ye Ishq Hai is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Apni KHabar, Na Us Ka Pata Hai, Ye Ishq Hai for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Apni KHabar, Na Us Ka Pata Hai, Ye Ishq Hai in PDF.