Ajab Hai Rang-e-chaman Ja-ba-ja Udasi Hai
ajab hai rang-e-chaman ja-ba-ja udasi hai
mahak udasi hai baad-e-saba udasi hai
nahin nahin ye bhala kis ne kah diya tum se
mein Thik-Thak hun han bas zara udasi hai
main mubtala kabhi hota nahin udasi mein
main wo hun jis mein ki KHud mubtala udasi hai
tabib ne koi tafsil to batai nahin
bahut jo puchha to itna kaha udasi hai
gudaz qalb KHushi se bhala kisi ko mila
azim wasf hi insan ka udasi hai
shadid dard ki ru hai rawan rag-e-jaan mein
bala ka ranj hai be-intiha udasi hai
firaq mein bhi udasi baDe kamal ki thi
pas-e-visal to is se siwa udasi hai
tumhein mile jo KHazane tumhein mubarak hon
meri kamai to ye be-baha udasi hai
chhupa rahi ho magar chhup nahin rahi meri jaan
jhalak rahi hai jo zer-e-qaba udasi hai
mujhe masail-e-kaun-o-makan se kya matlab
mera to sab se baDa masala udasi hai
falak hai sar pe udasi ki tarah phaila hua
zamin nahin hai mere zer-e-pa udasi hai
ghazal ke bhes mein aai hai aaj mahram-e-dard
suKHan ki oDhe hue hai rida udasi hai
ajib tarah ki haalat hai meri be-ahwal
ajib tarah ki be majra udasi hai
wo kaif-e-hijr mein ab ghaaliban sharik nahin
kai dinon se bahut be-maza udasi hai
wo kah rahe the ki shair ghazab ka hai 'irfan'
har ek sher mein kya gham hai kya udasi hai
(1323) Peoples Rate This