Ab Tere Lams Ko Yaad Karne Ka Ek Silsila Aur Diwana-pan Rah Gaya

ab tere lams ko yaad karne ka ek silsila aur diwana-pan rah gaya

tu kahin kho gaya aur pahlu mein teri shabahat liye ek badan rah gaya

wo sarapa tera wo tere KHal-o-KHad meri yaadon mein sab muntashir ho gae

lafz ki justuju mein larazta hua nim-wa sa faqat ek dahan rah gaya

harf ke harf se kya tazadat hain tu ne bhi kuchh kaha main ne bhi kuchh kaha

tere pahlu mein duniya simaTti gai mere hisse mein harf-e-suKHan rah gaya

tere jaane se mujh par ye uqda khula rang-o-KHushbu to bas teri miras the

ek hasrat saji rah gai gul-ba-gul ek matam chaman-dar-chaman rah gaya

ek be-nam KHwahish ki padash mein teri palken bhi baham piro di gain

ek wahshat ko sairab karte hue mein bhi aankhon mein le kar thakan rah gaya

arsa-e-KHwab se waqt maujud ke raste mein ganwa di gai guftugu

ek israr ki bebasi rah gai ek inkar ka bankpan rah gaya

tu sitaron ko apni jilau mein liye ja raha tha tujhe kya KHabar kya hua

ek tamanna dariche mein baiThi rahi ek bistar kahin be-shikan rah gaya

(1081) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Tere Lams Ko Yaad Karne Ka Ek Silsila Aur Diwana-pan Rah Gaya In English By Famous Poet Irfan Sattar. Ab Tere Lams Ko Yaad Karne Ka Ek Silsila Aur Diwana-pan Rah Gaya is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Ab Tere Lams Ko Yaad Karne Ka Ek Silsila Aur Diwana-pan Rah Gaya for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Ab Tere Lams Ko Yaad Karne Ka Ek Silsila Aur Diwana-pan Rah Gaya in PDF.