Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c9d8f4d5aeb0ac5f7315cb4057f6e67e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek Zahrili Rifaqat Ke Siwa Hai Aur Kya - Irfan Ahmad Poetry In English - Darsaal

Ek Zahrili Rifaqat Ke Siwa Hai Aur Kya

ek zahrili rifaqat ke siwa hai aur kya

tere mere bich wahshat ke siwa hai aur kya

ab na hai wo narm lahja aur na hain wo qahqahe

tera milna ek aziyyat ke siwa hai aur kya

zom tha mujh ko bhi teri chahaton ka lekin ab

mere chehre par nidamat ke siwa hai aur kya

ek zahr-amez chup hai aur aankhon mein jalan

tere dil mein ab kudurat ke siwa hai aur kya

zaKHm jo tu ne diye tujh ko dikha to dun magar

pas tere bhi nasihat ke siwa hai aur kya

(864) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Zahrili Rifaqat Ke Siwa Hai Aur Kya In English By Famous Poet Irfan Ahmad. Ek Zahrili Rifaqat Ke Siwa Hai Aur Kya is written by Irfan Ahmad. Read famous Poem Ek Zahrili Rifaqat Ke Siwa Hai Aur Kya for youth and Student by Irfan Ahmad. Free Download Ek Zahrili Rifaqat Ke Siwa Hai Aur Kya in PDF.