Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_689c6634146c4804abc06332f90fc614, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Kaise Log Hote Hain Jinhen Hum Dost Kahte Hain - Irfan Ahmad Mir Poetry In English - Darsaal

Wo Kaise Log Hote Hain Jinhen Hum Dost Kahte Hain

wo kaise log hote hain jinhen hum dost kahte hain

na koi KHun ka rishta na koi sath sadiyon ka

magar ehsas apnon sa wo anjaane dilate hain

wo kaise log hote hain jinhen hum dost kahte hain

KHafa jab zindagi ho to wo aa ke tham lete hain

rula deti hai jab duniya to aa kar muskuraate hain

wo kaise log hote hain jinhen hum dost kahte hain

akele raste pe jab main kho jaun to milte hain

safar mushkil ho kitna bhi magar wo sath jate hain

wo kaise log hote hain jinhen hum dost kahte hain

nazar ke pas hon na hon magar phir bhi tasalli hai

wahi mehman KHwabon ke jo dil ke pas rahte hain

wo kaise log hote hain jinhen hum dost kahte hain

mujhe masrur karte hain wo lamhe aaj bhi 'irfan'

ki jin mein doston ke sath ke pal yaad aate hain

wo kaise log hote hain jinhen hum dost kahte hain

(2054) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Kaise Log Hote Hain Jinhen Hum Dost Kahte Hain In English By Famous Poet Irfan Ahmad Mir. Wo Kaise Log Hote Hain Jinhen Hum Dost Kahte Hain is written by Irfan Ahmad Mir. Read famous Poem Wo Kaise Log Hote Hain Jinhen Hum Dost Kahte Hain for youth and Student by Irfan Ahmad Mir. Free Download Wo Kaise Log Hote Hain Jinhen Hum Dost Kahte Hain in PDF.