Paband-e-gham-e-ulfat Hi Rahe Go Dard-e-dahindan Aur Sahi
paband-e-gham-e-ulfat hi rahe go dard-e-dahindan aur sahi
ashkon ki rawani tham na saki aankhon ke the arman aur sahi
aadab-e-chaman anjam to de gul se na haTa titli ko saba
ulfat ki haya mahfuz rahe go tujh mein hon tufan aur sahi
ho sai-e-karam ghairon pe agar apnon pe mazaq-e-am na ho
hum rah mein hain Thokar hi to de manzil ke hon shayan aur sahi
is dasht-e-wafa mein qais bhi hai aur shaiKH bhi hai mushtaq-e-milan
jo wasl nahin to kya gham hai kuchh lamhe ibaran aur sahi
ek gul jo gira barnai mein bulbul ko yahi afsos raha
mashghul raha gham-KHwari mein hon fasl-e-bahaaran aur sahi
andaz-e-saba se waqif hun aur rabt-e-bahar se bhi baaligh
ruKH moD ke chalna jina hai KHwah us ke hon payan aur sahi
(1113) Peoples Rate This