Na Main Haal-e-dil Se Ghafil Na Hun Ashk-bar Ab Tak
na main haal-e-dil se ghafil na hun ashk-bar ab tak
meri bebasi pe bhi hai mujhe iKHtiyar ab tak
mere bagh-e-dil pe aaKHir ye bahaar bhi sitam hai
jo gulab hum ne boe wo hain KHar-dar ab tak
koi aas mujh ko roke teri justuju se kafir
main agarche ho chuka tha kabhi sharmsar ab tak
ye nasib hi nahin tha ki main apna haal ji lun
main hun apni KHastagi ka KHud sogwar ab tak
jo bahae chand qatre jo sajae kuchh tabassum
mujhe aisi ek KHushi ka raha intizar ab tak
ye ajib dastan hai mere be-niyaz dil ki
jo use samajh na paya hai usi se pyar ab tak
main kisi ke ashk pochhun to wo gham-gusar mera
ye samajh ke dard Dhoya main ne bar-bar ab tak
main kise kahun ai 'baaligh' mera gham-nawaz tu hai
meri bekasi ka kis ko hua eatibar ab tak
(1060) Peoples Rate This