KHandgi KHush Lab Tabassum Misl-e-arman Ho Gae
KHandgi KHush lab tabassum misl-e-arman ho gae
ahd-e-be-gham jun hi aaya hum pareshan ho gae
aage thi hum ko qarabat shab se shab ko hum se thi
un ko thi KHalwat se raghbat hum shabistan ho gae
hae ye ijz-o-niyaz-e-mai-kashan bhi kam nahin
aah kya bhar li ki hum KHak-e-gulistan ho gae
kya teri mahfil ki hai ye irtijali ai KHuda
sans ki fursat na di aur ahd-o-paiman ho gae
kya karen shikwa teri be-eatidali se raqib
wo bulae bhi na aae aap mehman ho gae
yaad hai hum ko junun-e-la-fana ki laghzishen
hum mein thi maujen kabhi ab dasht-e-viran ho gae
rakh liya saqi ne meri KHastagi ka ye bharam
shaiKH ki majlis mein hum pasti ka saman ho gae
tere kakul ki daraazi ho ki zulfon ka sitam
hum ne aankhen un se mundin bhi to zindan ho gae
teri qamat par fida ho kya ki lab par iftiKHar
teri angusht-e-hinai par hi qurban ho gae
aah wo baaligh tera mashhur fahwa-e-kalam
bulbulon ne hum ko dekha kal to hairan ho gae
(1141) Peoples Rate This