Kitni Dur Se Chalte Chalte KHwab-nagar Tak Aai Hun
kitni dur se chalte chalte KHwab-nagar tak aai hun
panw mein main chhaale sah kar apne ghar tak aai hun
kali raat ke sannaTe ko main ne pichhe chhoD diya
shab-bhar tare ginte ginte dekh sahar tak aai hun
likhte likhte lafzon se meri bhi kuchh pahchan hui
sari umr ki punji le kar aaj hunar tak aai hun
shayad wo miTTi se koi teri shakl bana pae
tere KHadd-o-KHal batane kuza-gar tak aai hun
suraj ki shiddat ne mujh ko kitna hai behaal kiya
dhup ki chadar oDh ke sar pe ek shajar tak aai hun
babul ke aangan se ek din har beTi ko jaana hai
aankhon mein nae KHwab saja kar tere dar tak aai hun
apne hath mein ilm ki shama 'iram' ne thame rakkhi hai
main to ek ujala le kar dida-war tak aai hun
(953) Peoples Rate This