Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_99228d505d1888ddef4baf5974e0ed11, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kaise Banaun Hath Par Taswir KHwab Ki - Iram Zehra Poetry In English - Darsaal

Kaise Banaun Hath Par Taswir KHwab Ki

kaise banaun hath par taswir KHwab ki

mujh ko mili na aaj tak tabir KHwab ki

aankhon se nind ruTh ke jaane kidhar gai

kaTti nahin hai raat-bhar zanjir KHwab ki

jis shahr mein ho KHwab churane ki wardat

kaise karun wahan pe main tashhir KHwab ki

KHwabon ne har qadam pe mujhe hausla diya

dekhi nahin hai tum ne kya tasir KHwab ki

kab tak rahegi tirgi tere KHayal mein

raushan karegi us ko bhi tanwir KHwab ki

us din to mere KHwabon ko pahchan jaoge

jis din likhega koi bhi tafsir KHwab ki

KHwabon ko hi 'iram' ne asasa bana liya

rahne do mere pas ye jagir KHwab ki

(1336) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaise Banaun Hath Par Taswir KHwab Ki In English By Famous Poet Iram Zehra. Kaise Banaun Hath Par Taswir KHwab Ki is written by Iram Zehra. Read famous Poem Kaise Banaun Hath Par Taswir KHwab Ki for youth and Student by Iram Zehra. Free Download Kaise Banaun Hath Par Taswir KHwab Ki in PDF.