Hum Bagh-e-tamanna Mein Din Apne Guzar Aae
hum bagh-e-tamanna mein din apne guzar aae
aae na bahaar aaKHir shayad na bahaar aae
rang un ke talawwun ka chhaya raha mahfil par
kuchh sina-figar uTThe kuchh sina-figar aae
fitrat hi mohabbat ki duniya se nirali hai
ho dard siwa jitna utna hi qarar aae
kya husn-e-tabiat hai kya ishq ki zinat hai
dil miT ke qarar aae rang uD ke nikhaar aae
dar se tere Takraya ek nara-e-mastana
be-nam liye tera hum tujh ko pukar aae
taswir bani dekhi ek jaan-e-tamanna ki
aansu meri aankhon mein kya silsila-war aae
kuchh un se na kahna hi thi fath mohabbat ki
jiti hui bazi ko hum jaan ke haar aae
is darja wo pyare hain kahte hi nahin banta
kya aur kaha jae jab aur bhi pyar aae
is bazm mein hum aaKHir pahunche bhi to kya paya
dil hi ki dabi choTen kuchh aur ubhaar aae
(1418) Peoples Rate This