Apne Gharib Dil Ki Baat Karte Hain Raegan Kahan
apne gharib dil ki baat karte hain raegan kahan
ye bhi na hum samajh sake apna koi yahan kahan
un ke liye wo aasman mera guzar wahan kahan
mere liye yahi zamin aaenge wo yahan kahan
samna un ka jab hua aankhon ne jo kaha kaha
dil mein hazar ishtiyaq un mein magar zaban kahan
uf ye maal-e-justaju baad-e-kamal-e-justaju
pahunche wahi jagah kahne lagi yahan kahan
hadd-e-nazar ka hai fareb qurb-e-zamin-o-asman
warna meri zamin se milta hai aasman kahan
husn ka pasban ishq ishq ka pasban dil
dil ka hai pasban hosh hosh ka pasban kahan
manzil-e-ashiqi se kam rukne ki ja nahin 'iram'
ye to abhi hai rah-guzar baiTh gae yahan kahan
(949) Peoples Rate This