Anghraata
main parda girane laga hun
palak se palak ko
milane laga hun
zamana mere KHwabon mein aa ke
rone laga hai
main unTon ko le aaun
aaKHir kahan ja ke charne lage hain
jahan par
parinde paron ko nahin kholte hain
jahan sarhaden hain falak jaisi qaem
wahan panw dharne lage hain
main unTon ko le aaun wapas
main bheDon ko duh lun
kai maon ki chhatiyan
chhipkili ki tarah
sukhe sine ki chhat se
ek arse se laTki hui hain
unhen ja ke moh lun
kai faKHtaen
jo nikli thin kah kar
ki aaengi wapas
chamakti dopahron se pahle
wo marg-asa andhe KHalaon mein
bhaTki hui hain
gadhe wala
be-wazan rui ko lade hue
shahr se lauT aaya hai
halki thi rui
bahut bhaari din tha
tala-doz tajir ne moti bhi
lane ka us se kaha tha
jo rangin urusana joDe mein jaDne hain
nadan
dulhan ko bhi malum hai
tez barish to honi hai
ole to paDne hain
nazuk si Tahni pe jhula hai
jhule ki rassi hai nazuk
so rassi mein bal aaKHir-kar paDe hain
andhraata baDhne laga hai
machhere ko dariya se wapas bhi aana hai
tannur mein gili shaKHen jalani hain
tannur ki tarah
KHwabon-bhari jal rahi hai
use bhi kushada bhare bazuon mein to aana hai!!
(1186) Peoples Rate This