Main Ki Waqf-e-gham-e-dauran Na Hua Tha So Hua
main ki waqf-e-gham-e-dauran na hua tha so hua
chaak ab tak jo gareban na hua tha so hua
par dil ke koi paikan na hua tha so hua
yun kabhi dard ka darman na hua tha so hua
koi wada koi paiman na hua tha so hua
itna nadan dil-e-nadan na hua tha so hua
Dubte rahte the har rose hazaron suraj
phir bhi ashkon se charaghan na hua tha so hua
kya kahun lala-e-pur-KHun ko ki jis ke bais
mushtahar jo gham-e-insan na hua tha so hua
is se pahle ki teri yaad ke baadal chhaen
mujh ko andaza-e-tufan na hua tha so hua
hai asar meri hi aashufta-sari ka shayad
wo mujhe dekh ke hairan na hua tha so hua
hae wo ek nazar lutf-o-karam se jis ke
tujh se bhi jo gham-e-dauran na hua tha so hua
shukriya un ke sitam ka ki yun hi ai 'iqbaal'
aaj tak mujh pe jo ehsan na hua tha so hua
(1100) Peoples Rate This