Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8f89045ebf724c3a94dda9c9f85b9999, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Isi Sabab Se To Hum Log Pesh-o-pas Mein Hain - Iqbal Umar Poetry In English - Darsaal

Isi Sabab Se To Hum Log Pesh-o-pas Mein Hain

isi sabab se to hum log pesh-o-pas mein hain

usi se bair bhi hai aur usi ke bas mein hain

qafas mein the to guman tha khuli fazaon ka

khuli faza mein ye ehsas hum qafas mein hain

ye aur baat ki hum faeda uTha na saken

kuchh aise log hamari bhi dastaras mein hain

har ek shahr ki kaya palaT gai lekin

har ek shahr mein baqi purani rasmen hain

haqiqaton se nigahen milaiye 'iqbaal'

suna hai aap to chaaliswen baras mein hain

(1258) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Isi Sabab Se To Hum Log Pesh-o-pas Mein Hain In English By Famous Poet Iqbal Umar. Isi Sabab Se To Hum Log Pesh-o-pas Mein Hain is written by Iqbal Umar. Read famous Poem Isi Sabab Se To Hum Log Pesh-o-pas Mein Hain for youth and Student by Iqbal Umar. Free Download Isi Sabab Se To Hum Log Pesh-o-pas Mein Hain in PDF.