Doston Mein Waqai Ye Bahs Bhi Aksar Hui
doston mein waqai ye bahs bhi aksar hui
haar kis ke sar hui hai jit kis ke sar hui
zehn be-paikar hua aur aql be-manzar hui
dil to patthar ho chuka tha aankh bhi patthar hui
log kahte hain ki qadr-e-mushtarak koi nahin
is KHarabe mein to sab ki zindagi dubhar hui
roz-o-shab aKHbar ki KHabron se bahlata hun ji
ye samajhta hun ki ab to raushni ghar ghar hui
zehn mein aane lage phir na-pasandida KHayal
wo kahani kaise bhulen naqsh jo dil par hui
dukh-bhari aawaz sunta hun to hota hun udas
ye KHata Thahri to mujh se ye KHata aksar hui
ek zamane se to bas 'iqbaal' apni zindagi
dard ka bistar hui ehsas ki chadar hui
(879) Peoples Rate This