Ab Ilaj-e-dil-e-bimar-e-sahar Ho Ki Na Ho
ab ilaj-e-dil-e-bimar-e-sahar ho ki na ho
zindagi saya-e-gesu mein basar ho ki na ho
mujh ko rakhna hi tha aadab-e-mohabbat ka KHayal
mere shane pe kal us shoKH ka sar ho ki na ho
aaj har baat meri qaul-e-KHudawandi hai
kal meri baat pe yun jumbish-e-sar ho ki na ho
jaane kis moD pe le aai mujhe umr-e-rawan
sochta hun ye teri rahguzar ho ki na ho
kyun na ji bhar ke ab ashkon se charaghan kar lun
yun koi raat phir aankhon mein basar ho ki na ho
sae mein jin ke andheron ke siwa kuchh bhi nahin
un charaghon ko bujha dunga sahar ho ki na ho
mere gham-KHane mein aate hue ummid ki zau
puchhti hai ki udhar mera guzar ho ki na ho
aaj jo kahna ho ai husn KHud-ara kah le
kal teri bazm mein 'iqbaal'-umar ho ki na ho
(1206) Peoples Rate This