Zindan-nasib Hun Mere Qabu Mein Sar Nahin
zindan-nasib hun mere qabu mein sar nahin
mera sujud un ke liye mo'atabar nahin
kya hai fareb nargas-e-ghammaz agar nahin
be-wajh tu kashakash-e-qalb-o-jigar nahin
taqsim-e-gul pe bahs anadil mein chhiD gai
gulzar luT raha hai kuchh us ki KHabar nahin
lazzat-shanas-e-gham ko hai izhaar-e-gham haram
rota hun aur daman-e-mizhgan bhi tar nahin
mere sujud-e-shauq se ho jae be-niyaz
itna buland hausla-e-sang-e-dar nahin
yun baghban ne himmat-e-parwaz chhin li
aisi bhari bahaar hai aur ek par nahin
tahsin-e-na-shanas ka bhuka nahin 'suhail'
main aabru-farosh-e-mata-e-hunar nahin
(1060) Peoples Rate This