Zabanon Par Nahin Ab Tur Ka Fasana Barson Se
zabanon par nahin ab tur ka fasana barson se
tajalli-gah-e-aiman hai dil-e-diwana barson se
kuchh aisa hai fareb-e-nargis-e-mastana barson se
ki sab bhule hue hain kaba o but-KHana barson se
wo chashm-e-fitnagar hai saqi-e-mai-KHana barson se
ki baham laD rahe hain shisha o paimana barson se
na ab mansur baqi hai na wo dar-o-rasan lekin
faza mein gunjta hai nara-e-mastana barson se
chaman ke naunihaal is KHak mein phulen phalen kyunkar
yahan chhaya hua hai sabza-e-begana barson se
ye aankhen muddaton se KHugar-e-barq-e-tajalli hain
nasheman bijliyon ka hai mera kashana barson se
tere qurban idhar bhi ek jhonka abr-e-rahmat ka
jabinon mein girah hai sajda-e-shukrana barson se
'suhail' ab kis ko sajda kijiye hairat ka aalam hai
jabin KHud ban gai sang-e-dar-e-jaanana barson se
(1286) Peoples Rate This