Uf Kya Maza Mila Sitam-e-rozgar Mein
uf kya maza mila sitam-e-rozgar mein
kya tum chhupe the parda-e-lail-o-nahaar mein
sau sajde ek laghzish-e-mastana-war mein
allah kya ada hai tere baada-KHwar mein
rokun to mauj-e-gham ko dil-e-be-qarar mein
saghar chhalak na jae kaf-e-rasha-dar mein
kis se ho phir ummid ki tar-e-nazar mera
KHud ja ke mil gaya saf-e-mizhgan-e-yar mein
KHud husn be-niyaz nahin faiz-e-ishq se
KHu mere dil ki hai nigah-e-be-qarar mein
wo mast-e-naz husn main sarshaar-e-arzu
wo iKHtiyar mein hain na main iKHtiyar mein
aashob-e-iztirab mein khaTka jo hai to ye
gham tera mil na jae gham-e-rozgar mein
baqi raha na koi gila waqt-e-wapsin
kya kah gae wo ek nigah-e-sharmsar mein
ek mashq-e-iztirab ka rakkha hai nam ishq
uf bekasi ki wo bhi nahin iKHtiyar mein
bazm-e-suKHan mein aag laga di 'suhail' ne
kya bijliyan thin KHama-e-jadu-nigar mein
(1334) Peoples Rate This