Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_da06ea0195a6d70d3fffebb4a36f8e95, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sada Fariyaad Ki Aae Kahin Se - Iqbal Suhail Poetry In English - Darsaal

Sada Fariyaad Ki Aae Kahin Se

sada fariyaad ki aae kahin se

wo zalim bad-guman hoga hamin se

KHuda samjhe but-e-sehr-afrin se

gareban ko laDaya aastin se

chaman hai shoala-e-gul se charaghan

bahaar aai nawa-e-atishin se

KHirad hai ab bhi jis ke hal se aajiz

wo nukte hal kiye hum ne yaqin se

salamat wusat-abaad-e-mohabbat

bahut aage hain hum duniya-o-din se

maaz-allah jalal us aastan ka

Tapak paDte hain sajde KHud jabin se

(1079) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sada Fariyaad Ki Aae Kahin Se In English By Famous Poet Iqbal Suhail. Sada Fariyaad Ki Aae Kahin Se is written by Iqbal Suhail. Read famous Poem Sada Fariyaad Ki Aae Kahin Se for youth and Student by Iqbal Suhail. Free Download Sada Fariyaad Ki Aae Kahin Se in PDF.