Paigham-e-rihai Diya Har Chand Qaza Ne
paigham-e-rihai diya har chand qaza ne
dekha bhi na us samt asiran-e-wafa ne
kah dunga jo ki pursish-e-amal KHuda ne
fursat hi na di kashmakash-e-bim-o-raja ne
hai rashk-e-iram wadi-e-pur-KHar-e-mohabbat
shayad use sincha hai kisi aabla-pa ne
ye KHufiya-nasibi ki hue aur bhi ghafil
naghme ka asar hum pe kiya shor-e-dara ne
KHakistar-e-dil mein to na tha ek sharar bhi
bekar use barbaad kiya mauj-e-saba ne
(1334) Peoples Rate This