Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1e3226befdcbfa85764415e668705187, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Asiron Mein Bhi Ho Jaen Jo Kuchh Aashufta-sar Paida - Iqbal Suhail Poetry In English - Darsaal

Asiron Mein Bhi Ho Jaen Jo Kuchh Aashufta-sar Paida

asiron mein bhi ho jaen jo kuchh aashufta-sar paida

abhi diwar-e-zindan mein hua jata hai dar paida

kiye hain chaak-e-dil se bu-e-gul ne baal-o-par paida

hawas hai zindagani ki to zauq-e-marg kar paida

ye musht-e-KHak agar kar le par-o-baal-e-nazar paida

to auj-e-la-makan tak hon hazaron rahguzar paida

jamal-e-dost pinhan parda-e-shams-o-qamar paida

yahi parde to karte hain taqaza-e-nazar paida

mohabbat tere sadqe tu ne kar di wo nazar paida

jidhar aankhen uThin hota hai husn-e-jalwagar paida

shab-e-gham ab manae KHair apne jeb o daman ki

rahe dast-e-junun baqi to kar lenge sahar paida

mazaq-e-sar-bulandi ho to phir dair o haram kaise

jabin-sai ki fitrat ne kiye hain sang-e-dar paida

nisar is lan-tarani ke ye kya kam hai sharaf us ka

dil-e-KHuddar ne kar li nigah-e-KHud-nigar paida

jawano ye sadaen aa rahi hain aabshaaron se

chaTanen chur ho jaen jo ho azm-e-safar paida

wo shabnam ka sukun ho ya ki parwane ki betabi

agar uDne ki dhun hogi to honge baal-o-par paida

'suhail' ab puchhna hai inqilab-e-asmani se

hamari sham-e-gham ki bhi kabhi hogi sahar paida

(1480) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Asiron Mein Bhi Ho Jaen Jo Kuchh Aashufta-sar Paida In English By Famous Poet Iqbal Suhail. Asiron Mein Bhi Ho Jaen Jo Kuchh Aashufta-sar Paida is written by Iqbal Suhail. Read famous Poem Asiron Mein Bhi Ho Jaen Jo Kuchh Aashufta-sar Paida for youth and Student by Iqbal Suhail. Free Download Asiron Mein Bhi Ho Jaen Jo Kuchh Aashufta-sar Paida in PDF.