Wo Musalsal Chup Hai Tere Samne Tanhai Mein
wo musalsal chup hai tere samne tanhai mein
sochta kya hai utar ja baat ki gahrai mein
surKH-ru hone na paya tha ki pila paD gaya
chand ka bhi hath tha jazbaat ki paspai mein
be-libasi hi na ban jae kahin tera libas
aaine ke samne pagal na ho tanhai mein
tu agar phal hai to KHud hi TuT kar daman mein aa
main na phekunga koi patthar teri angnai mein
raat-bhar wo apne bistar par paDa rota raha
dur ek aawaz banjar ho gai shahnai mein
daere baDhte gae parkar ka munh khul gaya
wo bhi daKHil ho gaya ab sarhad-e-ruswai mein
habs to dil mein tha lekin aankh tap kar rah gai
raat sara shahr Duba dard ki purwai mein
aankh tak bhi ab jhapakne ki mujhe fursat nahin
naqsh hai diwar par taswir hai binai mein
log wapas ho gae 'sajid' numaish gah se
aur main khoya raha ek mahshar-e-ranai mein
(1643) Peoples Rate This