Wo Dost Tha To Usi Ko Adu Bhi Hona Tha
wo dost tha to usi ko adu bhi hona tha
lahu pahan ke mujhe surKH-ru bhi hona tha
sunahri hath mein taza lahu ki fasl na di
ki apne haq ke liye jang-ju bhi hona tha
bagula ban ke samundar mein KHak uDana thi
ki lahar lahar mujhe tund-KHu bhi hona tha
mere hi harf dikhate the meri shakl mujhe
ye ishtihaar mere ru-ba-ru bhi hona tha
kashish thi phul si is mein to la-mhaala mujhe
asir-e-rang giraftar-e-bu bhi hona tha
saza to milna thi mujh ko barahana lafzon ki
zaban ke sath labon ko rafu bhi hona tha
safar ka bojh uThane se peshtar 'sajid'
mizaj-dan-e-rah-e-justuju bhi hona tha
(1330) Peoples Rate This