Wo Chand Hai To Aks Bhi Pani Mein Aaega
wo chand hai to aks bhi pani mein aaega
kirdar KHud ubhar ke kahani mein aaega
chaDhte hi dhup shahr ke khul jaenge kiwaD
jismon ka rahguzar rawani mein aaega
aaina hath mein hai to suraj pe aks Dal
kuchh lutf bhi suragh-rasai mein aaega
raKHt-e-safar bhi hoga mere sath shahr mein
sahra bhi shauq-e-naql-e-makani mein aaega
phir aaega wo mujh se bichhaDne ke waste
bachpan ka daur phir se jawani mein aaega
kab tak lahu ke habs se garmaega badan
kab tak ubaal aag se pani mein aaega
surat to bhul baiTha hun aawaz yaad hai
ek umr aur zehn girani mein aaega
'sajid' tu apne nam ka katba uThae phir
ye lafz kab libas-e-maani mein aaega
(4701) Peoples Rate This