Tum Mujhe Bhi Kanch Ki Poshak Pahnane Lage
tum mujhe bhi kanch ki poshak pahnane lage
main jise dekhun wahi patthar nazar aane lage
be-sabab ghar se nikal kar aa gae bazar mein
aaina dekha nahin taswir chhapwane lage
dasht mein pahunche to tanhai mukammal ho gai
baDh gai wahshat to phir KHud se hi Takrane lage
KHun ka nashsha chaDha to jism zahrila hua
KHwahishon ke paniyon mein sanp lahrane lage
kuchh nahin hai zehn mein to wahm ki shaklen bana
raushni hogi agar sae nazar aane lage
dekhna chaha to wo aankhon se ojhal ho gaya
chumna chaha to mere honT pathrane lage
rang aaKHir le hi aaya meri sochon ka jumud
barf ke suraj bala ki dhup phailane lage
chal paDe to ho liye 'iqbaal-sajid' apne sath
thak gae to apne hi sae hain sustane lage
(1257) Peoples Rate This