Suraj Hun Chamakne Ka Bhi Haq Chahiye Mujhko
suraj hun chamakne ka bhi haq chahiye mujh ko
main kohr mein lipTa hun shafaq chahiye mujh ko
ho jae koi chiz to mujh se bhi ibarat
likhne ke liye sada waraq chahiye mujh ko
KHanjar hai tu lahra ke mere dil mein utar ja
hai aankh ki KHwahish ki shafaq chahiye mujh ko
ho wahm ki dastak ki kisi panw ki aahaT
jine ke liye kuchh to ramaq chahiye mujh ko
har bar meri rah mein hail ho naya sang
har bar koi taza sabaq chahiye mujh ko
jo kuchh bhi ho baqi wo mere hath pe likh de
mazmun bahar-taur adaq chahiye mujh ko
jo zehn mein taswir hai kaghaz par utar aae
duniya mein numaish ka bhi haq chahiye mujh ko
har phul ke sine mein gul-e-sang ho 'sajid'
har sang mein ek rang-e-qalaq chahiye mujh ko
(1659) Peoples Rate This