Sae Ki Tarah BaDh Na Kabhi Qad Se Ziyaada
sae ki tarah baDh na kabhi qad se ziyaada
thak jaega bhagega agar had se ziyaada
mumkin hai tere hath se miT jaen lakiren
ummid na rakh gauhar-e-maqsad se ziyaada
lag jae na tujh par hi tere qatl ka ilzam
badnam to hota hai bura bad se ziyaada
KHwahish hai baDai ki to andar se baDa ban
kar zehn ki bhi nashw-o-numa qad se ziyaada
dekhun to mere jism pe shaKHen hain na patte
sochun to ghana chhanw main bargad se ziyaada
rahne do KHalaon mein meri qabr na khodo
hai pyar mujhe KHak ki masnad se ziyaada
aankhen to lagi rahti hain darwaze ki jaanib
milti hai KHushi apni hi aamad se ziyaada
kya jaaniye kya baat hai ek umr se 'sajid'
viran hai TuTe hue marqad se ziyaada
(1175) Peoples Rate This