RuKH-e-raushan Ka Raushan Ek Pahlu Bhi Nahin Nikla
ruKH-e-raushan ka raushan ek pahlu bhi nahin nikla
jise main chand samjha tha wo jugnu bhi nahin nikla
wo tera dost jo phulon ko pathrane ka aadi tha
kuchh us se shoabda-bazi mein kam tu bhi nahin nikla
abhi kis munh se main dawa karun shadab hone ka
abhi tarshe hue shane pe bazu bhi nahin nikla
gharon se kis liye ye bhiD saDkon par nikal aai
abhi to banTne wo shaKHs KHushbu bhi nahin nikla
shikari aae the dil mein shikar-e-arzu karne
magar is dasht mein to ek aahu bhi nahin nikla
teri bhi husn-kari ke hazaron log hain qail
gali-kuchon se lekin us ka jadu bhi nahin nikla
bata is daur mein iqbaal-'sajid' kaun niklega
sadaqat ka alam le kar agar tu bhi nahin nikla
(1940) Peoples Rate This