Phenk Yun Patthar Ki Sath-e-ab Bhi Bojhal Na Ho
phenk yun patthar ki sath-e-ab bhi bojhal na ho
naqsh bhi ban jae aur dariya mein bhi halchal na ho
khol yun muTThi ki ek jugnu na nikle hath se
aankh ko aise jhapak lamha koi ojhal na ho
hai safar darpesh to parchhain ki ungli pakaD
rah mein tanhai ke ehsas se pagal na ho
pahli siDhi pe qadam rakh aaKHiri siDhi pe aankh
manzilon ki justuju mein raegan ek pal na ho
zehn KHali ho gae hain waqt ke ehsas se
samne wo masala rakh jis ka koi hal na ho
sab ke hi sinon mein hai phaila hua sanson ka habs
koi shahr aisa nahin jis ki faza bojhal na ho
log akasr apne chehre par chaDha lete hain KHol
tu jise sona samajhta hai kahin pital na ho
justuju us peD ki kyun ho ki jo saya na de
hath us Dali pe kya pahunche ki jis par phal na ho
roz-o-shab lagta rahe sochon ka mela zehn mein
shor se KHali kabhi ehsas ka jangal na ho
garm kar 'sajid' lahu ko dhimi dhimi aanch se
waqt se pahle tere jazbaat mein halchal na ho
(1318) Peoples Rate This